اردو हिंदी
Dawam | Shaahi Shayari
dawam

Nazm

Dawam

Shahab Jafri

;

mujhe aaj mahsus yun ho raha hai
ki main mar gaya hun

mera nam kuchh bhi ho main aam sa aadmi
is se kuchh farq paDta nahin

ek ehsas ke muKHtalif nam hain
sari duniya mein jo shaKHs duniya se uTTha hai wo main hun

main jis ne dekha hai har shaKHs mein KHud ko marte hue
mujh ko jis tarah chaho pukaro ki wo marne wala to main hi hun

logo shahadat se baDh kar meri maut be-laus hai
aur kisi ka mere pas kuchh bhi nahin

jab bhi aaya hun tum sab mein tum ban ke zinda raha
aur duniya se jate hue sath sirf apna gham le gaya

gham jo duniya mein main ban ke phir aaega