dawam ke dayar mein
dawam ke qadim reg-zar mein
adam jahan sarab hai
tere mere kai nishan taDap taDap ke mar gae!
ek ajnabi si KHak par kai zaman bikhar gae
is ajnabi si KHak par
sab apni apni sans ko sameT kar nikal paDe
alil si najat mein phir apni ruh phunkne
najat ek fareb hai
ye dasht intizar mein
dawam ke qadim reg-zar mein
jihat ka ek mazar hai
ki jis ke gumbadon ke honT par yahi pukar hai
najat ek fareb hai
najat ka hisar kya?
dawam apni maut hai
dawam se farar kya?
Nazm
Dawam ke dayar mein
Riyaz Latif