naghmagi git harf-o-nawa
nala-e-shauq saut o sada
ek bahri siyasat ke darbar mein
sar-nigun pa-ba-zanjir lae gae
sara simab-e-naqad-o-nazar
sab tilismat-e-harf-o-hunar
parda-e-sahar-o-asrar se TuT kar
maqtal-e-arzu ban gae
wo tarab-zar-e-dil qasr-e-gham
raat bhar jagti aagahi yani
aqlim-jaan
mashinon ke khanDaraat mein kho gae
wo jo aahang-e-alam tha
KHwabon ka maskan tha aur harf o maani ki tathir tha
apni bedariyon ki saza kaTne ke liye
sang o aahan mein Dhaala gaya
sajda-e-haq
tamanna ke aafaq tak dard ke qafile
kaba-e-nur tak aabla-pai ke silsile
zar-e-maghrib ki mizan mein tul gae
hum ki is dasht mein aabla-pa the sadiyon se
is rah ke sang-e-mil
apne qadmon ke hamraaz the
hum bhi is daur-e-uftadgi mein
bas
tamasha-e-ahl-e-karam dekhte rah gae
Nazm
Daur uftadgi
Sajida Zaidi