KHwabon ki tarsil ka kaam
ek muddat se bila-nagha jari hai
main un logon ke liye KHwab dekhta hun
jo KHud KHwab nahin dekh sakte
main KHwab dekhta hun
aur inhen kaghaz par likhta hun
kabhi aadha
kabhi pura
aur kabhi pure se bhi ziyaada
kabhi kabhi to KHwab itne ziyaada ho jate hain
ki kaghaz se bah kar
zamin par
ya mere kapDon par
ya bed-sheet par
kabhi kabhi to nashte ki mez par bhi gir jate hain
jinhen sameTna ek mushkil kaam hai
log kaghaz se mere KHwab chaTte hain
aur honTon par zaban pherte hue kahte hain
aaj bhi namak zara kam rah gaya hai
yahi ek jumla meri ujrat hai
ye main un logon ki baat kar raha hun
jo KHud KHwab nahin dekh sakte
jo dekh sakte hain
un ka rawayya qadre behtar hai
yaad rahe
main ye kaam
ujrat ke baghair bhi kar leta hun
lekin us waqt mujhe bahut diqqat hoti hai
jab raat aankhon mein kaT jati hai
aur KHwab
dur dur tak dikhai nahin dete
us waqt hath malte hue
nind aur KHwab ka intizar
bahut taklif-dah hota hai
lekin
kabhi kabhi
jab main so kar uThta hun
to KHwab mere darwaze par dastak dete hain
Nazm
Dastak
Ali Sahil