main chiKHta hun
main ne aaj tak kisi chiz ko nahin chhua
na kisi aawaz ko
na diwar ko
na tumhaare badan ko
main to zindagi bhar
apne hathon se dastane nahin utar saka

Nazm
Dastane
Saeeduddin
Nazm
Saeeduddin
main chiKHta hun
main ne aaj tak kisi chiz ko nahin chhua
na kisi aawaz ko
na diwar ko
na tumhaare badan ko
main to zindagi bhar
apne hathon se dastane nahin utar saka