اردو हिंदी
Dasht-e-adam ka sannaTa | Shaahi Shayari
dasht-e-adam ka sannaTa

Nazm

Dasht-e-adam ka sannaTa

Akbar Hyderabadi

;

kya kya manzar dekh rahi hain aankhen meri
kab se un ujle shishon par

sae larzan hain
kuchh dhundlae manzar armanon ki jadu-nagri se

sine ki tariki se
jugnu ki manind jhalakte rahte hain rang badalte rahte hain

band agar ho jaen ye aankhen
sare manzar

sare pas-manzar
be-alfaz bayan ki surat

ek kore kaghaz mein Dhal kar
(yaksar rup badal kar)

Thahri Thahri aankhon ki tanhai mein kho jaenge
dasht-e-adam ka sannaTa ho jaenge