nilgun charKH ko ghere hue bhure baadal
is tarah ghumte phirte hain hawa ke ruKH par
jaise ye saltanat-e-ab ke shahzade hon
jin ke ek hukm se ho jae zamin lala-farosh
dekhna ye hai ki kab aas ki konpal phuTe
sukhi jati hai tamannaon ki kheti apni
Nazm
Daryuza-gari
Hameed Almas