main ek buDhe bargad ka daraKHt hun
jis ki shaKHen kaT chuki hain aur patte
bikhar chuke hain mere sine mein ek KHala hai
jis mein ek din ek buDhe bandar ne
panah li thi
nahin ai buDhe bargad
tum us gumbad wali imarat se
behtar ho jis mein ek zalim baadshah ki qabr hai
nahin tum nahin jaante us gumbad ke pichhe
jhonpaDiyon mein kuchh diye jal rahe the
jin hawaon ne ye diye bujhae hain
main un hawaon se ab bhi
laD raha hun
Nazm
Darwesh
Qamar Jameel