اردو हिंदी
Darwaza khula rakhna | Shaahi Shayari
darwaza khula rakhna

Nazm

Darwaza khula rakhna

Ibn e Insha

;

dil dard ki shiddat se KHun-gashta o si-para
is shahr mein phirta hai ek wahshi-o-awara

shaer hai ki aashiq hai, jogi hai ki banjara
darwaza khula rakhna

sine se ghaTa uTThe aankhon se jhaDi barse
phagun ka nahin baadal, jo chaar-ghaDi barse

barkha hai ye bhadon ki, barse to baDi barse
darwaza khula rakhna

aankhon mein to ek aalam aankhon mein to duniya hai
honTon pe magar mohren munh se nahin kahta hai

kis chiz ko kho baiTha kya DhunDne nikla hai
darwaza khula rakhna

han tham mohabbat ki gar tham sake Dori
sajan hai tera sajan ab tujh se to kya chori

ye jis ki munadi hai basti mein teri gori
darwaza khula rakhna

shikwon ko uTha rakhna, aankhon ko bichha rakhna
ek shama dariche ki chaukhaT pe jala rakhna

mayus na phir jae, han pas-e-wafa rakhna
darwaza khula rakhna

darwaza khula rakhna