har taraf daur-e-faramoshi hai
zehn sahma hua baiTha hai kahin
apne atraf hifazat ki tanaben gaDe
jab koi baat nahin yaad us ko
phir ye dahshat ka sabab kya mani
aur hifazat ka junun kaisa hai
Daro us waqt se jab aisa KHauf
jis ke asbab nahin milte hain
zindagani mein chala aata hai
ruh-e-wijdan bhaTak jati hai
tarz-e-afkar badal jati hai
sahra aa jate hain diwaron mein
aasmanon ke waraq khulte hain
jauq-dar-jauq pare ruhon ke
chalte-phirte nazar aa jate hain
aur zamin kanch ke TukDon ki tarah TuTti hai
wahm taswir mein Dhal jata hai
kam-nigahi ka tasallut chup-chap
dur-andeshi ko kha jata hai
Daro us waqt se jab aisa KHauf
zindagani mein chala aata hai
jis ke asbab nahin milte hain
Nazm
Daro us waqt se
Zehra Nigaah