ye girja hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai
salibi-jang mein sare sipahi kaam aae
ab kise pani pilaogi tum apne daman-e-tar se
uThaogi kise phaile hue bazu pe nile naKHunon par rok logi
aankh chehra
jab zamin par rakh hogi aur miTTi phail jaegi
tanaben rakh ho jaen to miTTi phail jati hai
zaminon aasmanon par
so girja mujh pe nile aasman ki mehrbani hai
ye dariya hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai
zamin jab rakh ho jae to dariya phail jata hai
aur us ko rok leti ho tum apni KHushk aankhon mein
badan ki aaD de kar
jab sipahi raste mein baiTh jate hain
bichha dete hain saya pattiyon phulon kinaron ka
tumhaare daman-e-tar ka
utar jate hain gili jhaDiyon mein aag le kar
aasman dekha nahin jata
to bhigi ret ko sukhi hawa mein chhante hain
aur miTTi phail jati hai
ye miTTi mujh ko kal tak aasmanon mein uDati thi
ye dariya mujh ko kal tak khinch lata tha zaminon par
ye miTTi phailti jati hai
dariya sukhta jata hai
mujh par aasman ki mehrbani hai
Nazm
Dariya-e-charls ke kinare ek nazm
Mohammad Anvar Khalid