dekhte dekhte
chyunTiyan kitni rondi gain
aaKHiri sans tak
palaT kar jhapaTne ki ummid mein
sar uThati rahin
dekhte dekhte
mere aasab mein
bijliyan ghul gain
rengti chyunTiyan
jild ko chir kar
KHun mein mil gain
ab main koi aur hun
ek ghayal darinda ki jis ke liye
zaKHm hi zaKHm hain
(chahe apne hon ya dusron ke)
aaKHiri sans tak
zaKHm hi zaKHm hain
sari basti hai sahmi hui
log sab falsafe
bandh kar bhag uThe
mujh pe ab koi hansta nahin
main akela magar
kal baDi der tak KHud pe hansta raha
aaine se ye kahta raha
ya to har dard ke koi mani hain
ya phir kisi dard ke koi mani nahin
Nazm
Dardmandi
Qazi Saleem