main ab tak ye samajhti thi
kahani ka na dil hai
aur na goyai
saliqa hi nahin inkar ka is ko
hamesha likhne wale ki
raza par chhoD deti hai
wajud apna
kabhi munh se nahin kahti
ki mujh ko is taraf moDo
jidhar main chahti hun
aur yahan tak ki
kai kirdar mar jate hain
phir bhi aankh se is ki
kabhi aansu nahin girte
kahani kitni sabir hai
kabhi aaghaz hi milta nahin is ko
kabhi anjam se mahrum rahti hai
kabhi aisa bhi hota hai
ki afsane ka KHaliq
apne afsane mein is ko
panw bhi dharne nahin deta
to ye KHamoshi si
ek karb ki chadar mein
apna munh chhupae
lauT jati hai
koi shikwa nahin karti
magar kal shab
main jab tanhai mein baiThi
kahani likh rahi thi to
mujhe aisa laga jaise
waraq par ek aansu hai
jo main ne ghaur se dekha
jahan aurat likha main ne
wahin wo ashk Tapka tha
Nazm
Dard mushtarak
Humaira Rahat