uDti desh mein gard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
desh hai apna mante ho na
dukh jitne hain jaante ho na
peD hai ek par Dalen bahut hain
Dalon par Tahniyan bahut hain
patte hain rozana ugte
pile lekin girte rahte
tum ho mali nazar kahan hai
chaman ki socho dhyan kahan hai
kya tum se har fard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
chuna tumhein hai kahenge qisse
desh dikhe jab hisse hisse
log pareshan aag zani hai
aur wichaaron mein bhi Thani hai
nazren chura kar yun na baiTho
aage aa kar chakr to phenko
tum chup ho sab bol rahe hain
pankh wo apne tol rahe hain
kahe na koi mard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
baDe bhai ho sabaq to sikho
chaaron or hain chhoTe dekho
laD laD kar barbaad hain sare
kaTna marna dharm bana re
wahan masjidon mein bam phaTte
dharm hai ek wo phir bhi laDte
chale the faKHr se sar uncha tha
gaDhe the hael kab dekha tha
aaj hue kya dekh rahe ho
chakkar gidh ke dekh rahe ho
are kyun chehra zard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
hosh mein aao waqt abhi hai
rahbar ho aur samay yahi hai
jit chunaw fikr sahi hai
par ho kya gar desh nahin hai
dur dekhna jurm kahan hai
sikhne mein koi sharm kahan hai
baDe ho gar to ban ke dikhao
kahan hai shafqat le kar aao
dharm kabhi bedard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
aaj nahin to kal samjhoge
luT jaoge tab samjhoge
pyar se baDh kar astr nahin kuchh
ghaTiya jhuT se wastr nahin kuchh
boya jo hai wahi kaToge
phir un ke talwe chaToge
hathon mein kashkol rahenge
gale mein apne Dhol rahenge
phir sar uncha karte rahna
ban jaana phir desh ka gahna
jago hawa abhi sard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
Nazm
Dard ki aawaz
Ozair Rahman