sarsarahaT hai
na aahaT hai
na halchal
na chubhan
dard chup-chap
kisi dhimi nadi ki surat
sans leti hui
ganThon mein
utar aaya hai
kitne barson ki
riyazat se
hunar-mandi se
aaise bikhre hue
reshon ko sameTa hai magar
aur har bar
har ek bar
bahut jatanon se
jism ko jaan se
joDa hai magar
be-sabab sans ki kaTti Dori
kab se thame hue
baiThe hain magar
aaj nahin
ya kahin dard thame
aur sakun mil jae
ya koi ganTh khule
aur qarar aa jae
Nazm
Dard
Gulnaz Kausar