اردو हिंदी
Dard-e-mushtarak | Shaahi Shayari
dard-e-mushtarak

Nazm

Dard-e-mushtarak

Qateel Shifai

;

main ne jo zulm kabhi tujh se rawa rakkha tha
aaj usi zulm ke phande mein giraftar hun main

main ne jo tir tere hath se chhina tha kabhi
aaj usi tir ke ghaw se nigun-sar hun main

jis ki KHatir teri zillat bhi gawara thi mujhe
aaj usi paikar-e-ismat ka KHata-kar hun main

meri aaankhon ne jise chand kaha tha kal tak
aaj usi shoala-e-parran se araq-bar hun main

tu na chahe bhi to aafaq hansega mujh par
waqt ke hath mein TuTi hui talwar hun main

main ne chaha tha ki insan ki azmat ke liye
ek mazlum jawani ko sahaara de dun

ek Thukrae hue pyar ke sadme banTun
ek bhaTke hue rahi ko ishaara de dun

ek jhulse hue ehsas ko ThanDak baKHshun
aur kaunain ko phir zauq-e-nazara de dun

main ne iKHlas ke phulon se banae gajre
main ne iKHlas ke phulon se banae gajre

main ne ehsas ke jhulon mein jhulaya us ko
main ne rondi hui rahon pe bichhai aanhken

main ne paigham sitaron ka sunaya us ko
main ne aflas ke dariya ka tamawwuj pi kar

ek nai aas ke sahil pe lagaya us ko
aaj main soch raha hun shab-e-tanhai mein

kis qadar talKH jawani ki luTi yaaden hain
dekh is daur mein aiwan-e-mohabbat ke liye

kaisi kaisi gham-o-andoh ki buniyaaden hain
kal tere dida-e-hairan se lahu phuTa tha

aaj mere lab-e-KHamosh pe fariyaaden hain
ye mohabbat ye wafaen ye murawwat ye KHulus

in ko sarmae ne be-kar bana rakkha hai
husn aur husn ke har ek sanam-KHane ko

zar-paraston ne jafakar bana rakkha hai
aa ki us daur ka mear badalna hai hamein

jis ne har zehn ko bimar bana rakkha hai
aa ki us jins-e-giran-qadr ko bedar karen

jis ne hum sab ko KHaridar bana rakkha hai
aa ki us fitna-e-zarposh ko uryan kar den

jis ne aafaq ko bazar bana rakkha hai