mizha-e-KHar pe kis tarah bhala pae qarar
aariz-e-gul pe na jab qatra-e-shabnam Thahre
hadsa hai ki dar aai ye masarrat ki kiran
warna is dil pe the tariki-e-gham ke pahre
dard-e-mahrumi-e-jawed hamari qismat
rahat-e-wasl-o-mulaqat ke dar band rahe
sal-ha-sal riwayat ke zindanon mein
kitne biphre hue jazbaat nazar-band rahe
sim-sim-e-sim se khul jate hain uqdon ke pahaD
jagmaga uThte hain phulon ke diye sahra mein
ghaza-e-zar se hai ruKHsar-e-tamaddun ka nikhaar
dil to ek jins-e-faromaya hai is duniya mein
chaDhte suraj ke parastar hain duniya wale
Dubte chand ko bin dekhe guzar jate hain
kaun juDe mein sajata hai bhala dhul ke phul
shaKH ke KHar bhi aankhon mein jagah pate hain
tu meri hai ki yahan koi nahin tha mera
main tera hun ki tujhe koi bhi apna na saka
kitni pyari hai suhani hai ye duniya jis mein
tu bhi Thukrai gai mujh ko bhi Thukraya gaya
Nazm
Dard-e-mushtarak
Ahmad Rahi