main ek dhutkara hua
darbari mughanni hun
darbar se dhutkar diye jaane se pahle
mere halq mein sindur ki ek puri shishi
ulaT di gai hai
ab mera gala
mahz ghiza ki nali ban kar rah gaya hai
mujhe apne gale ke soz-o-saz se mahrum kiye jaane se ziyaada afsos
us baat ka hai
ki main apne meade mein utri hui ashrafiyan
marwarid aur nilam
shahi mahal mein thuk kar nahin aaya
un sab ne mere meade mein apne liye
koi gunjaish sur alapna chahun
to ye ashrafiyan
marwarid aur nilam
mere meade mein dahakne lagte hain
jis tashtari mein mujhe
ye ashrafiyan marwarid aur nilam pesh kiye jate the
ab us tashtari mein
mahal ke KHwaja-sara ke paltu kutte ko
raatib diya jata hai
jis ke meade mein koi chiz
ziyaada der tak nahin Tikti
kabhi kabhi ye kutta
KHwaja-sara ke pair chaTte chaTte
baadshah par bhunkne bhi lagta hai
kash main ek bar hi aisa kar sakta

Nazm
Darbari mughanni
Saeeduddin