daraKHton par koi patta nahin tha
guzarte raste KHamosh the
uDte parinde raat ka aaseb lagte the
jahan tak bhi nazar jati thi
un logon ki qabren thin jo paida hi na ho pae
sitare the magar wo aasmanon par huwaida hi na ho pae
KHabar ye thi is miTTi mein sabza lahlahae ga
yahan wo waqt aaega ki har-su rang honge phul honge raushni hogi
magar ye kaun batlae
ki kaise is andhere mein kami hogi
jo sadiyon se hamari aankh ki putli ka hissa hai
suna hai waqt aage ki taraf jata hai
lekin hum hazaron sal se us ek nuqte par khaDe hain jis ke niche kuchh nahin hai jis ke upar kuchh nahin hai
tum ne to chauthi jihat bhi DhunD li
aur hum pahli jihat ki justuju mein KHak ho kar rah gae
Nazm
DaraKHton par koi patta nahin tha
Shahzad Ahmad