daraKHt! mere dost
tum mil jate ho kisi na kisi moD par
aur aasan kar dete ho safar
tumhaare pair ki ungliyan
jami rahin patal ke bhedon par
qaem rahe mere dost
tumhaare tane ki matanat aur quwwat
dhup aur barish tumhein apne tohfon se nawazti rahe
tum bahut pur-waqar aur sada ho
mere thaile ko jaanna chahte ho
zarur ye lo main ise kholta hun
roTiyan duaen aur nazmen
mere pas is se ziyaada kuchh nahin
ek shaer ke pas is se ziyaada kuchh nahin hota
dost dukh dena tum ne sikha hi nahin
tum ne na to mujh se shaeri ka matlab puchha
aur na kabhi mere mutalee par shak kiya
aisa hi hona chahiye doston ko
agar mere pas ek aur zindagi hoti to
to main apni pahli zindagi tumhaari jaDon par guzar deta
magar main ghar se KHandan bhar KHushiyon ke liye nikla hun
aur wahan mera intizar kiya ja raha hai
tum ne mere dost
han tum ne
bahut kuchh sikhaya hai mujhe
maslan zamin aur aasmani bijli
aur hawa
aur intizar
aur dusron ke liye zinda rahna
bahut qimti hain ye baaten
main kya de sakta hun is fayyazi ka jawab
mere pas tumhaare liye
ek roTi aur dua hai
roTi: tumhaari chiyunTiyon ke liye
dua tumhaare aaKHiri din ke liye
mujhe malum hai tum ne kulhaDi ke musafahe
aur aari ki hansi se kabhi KHauf nahin khaya
magar tum rok nahin sakte inhen
koi bhi nahin rok sakta
KHuda kare
KHuda kare tumhaari shaKHon se ek jhonpaDi banai jae
bazuon ke ghere mein na aane wale tumhaare
tane ki lakDi
bahut kafi hai
do pahiyon aur ek kashti ke liye
dost: hum phir milenge
musafir aur chhakDa
musafir aur kashti
kahin na kahin hum phir ek sath honge
kahin na kahin
ek sath hum samna karenge
hawa ka aur raston ka
masarrat aur maut ka
Nazm
DaraKHt mere dost
Sarvat Husain