kaise niklega jite-ji dil se Dar ka ka sahib
kab KHauf ki wahshi galiyon mein bhaTki hui saat lauTegi?
kab andeshon ke sanp mere peDon se lipaTna chhoDenge?
sahme hue shabdon ko apne sine se lagae baiThi hun
kaise batlaun kyun mujh ko din ke zahrile hathon se!
shamon ke surKH aasebon se, raaton ki be-dil aankhon se!
aur aas ke aaThon pahron se!
Dar lagta hai
KHwabon ke ran mein paDe hue KHwahish ke adhure jismon se
aur man ki ruh mein gaDe hue tar panjon se
jaani-pahchani aankhon mein pinhan an-jaani wahshat se
rishton ke mazbah-KHanon se
bandhan ki zinda lashon se
Dar lagta hai
is jism ki diwaron mein hai Dar ka KHasta gara sahib
shishe mein raqsan sayon se, sanson aur aawazon se
pal pal mein badalte rangon se! Dar lagta hai
nili paD jati hun sahib
chehre ki pili rangat ko kab tak main chhupaun ghaze mein?
Nazm
Dar
Naina Adil