اردو हिंदी
Dar-guzar | Shaahi Shayari
dar-guzar

Nazm

Dar-guzar

Shaz Tamkanat

;

kaun wo log the ab yaad nahin aata hai
phenk aae the mujhe yusuf-e-kanan ki tarah

khinch lae the mujhe shahr ke bazaron mein
sab ko dikhlate the aaina-e-hairan ki tarah

log kahte hain ki koi bhi KHaridar na tha
kaun wo log the ab yaad nahin aata hai

chhoD aae the sulagte hue maidan mein mujhe
eDiyan ragDin magar chashma-e-zamzam na mila

kaise tanha kiya kis haal-e-pareshan mein mujhe
kaun wo log the ab yaad nahin aata hai

bagh-e-asaish hasti bhi dikhaya mujh ko
koi shaddad-numa tha koi namrud-sifat

be-gunahi ki saza thi ki wo sach ka inam
rasan o dar ke mimbar pe biThaya mujh ko

kaun wo log the ab yaad nahin aata hai
koi insan koi shaitan koi chehra koi nam

hafiza shisha ki manind dark jata hai
ai KHuda tujh se to poshida nahin hai koi raaz

dost honge ki wo dushman mera pahuncha de salam
shukr karta hun ki duniya ke KHazane ne mujhe

koi moti na sahi aankh to giryan di hai
kya diya kya na diya tu ne KHuda-e-fayyaz

kya ye kam hai ki mujhe daulat-e-nisyan di hai