aasman kyun dur hota ja raha hai
titliyan aur faKHtaen
apni maftuha faza par mutmain hain
mujh mein kyun dam toDti hai sham ki nili hawa
mujh mein kyun soe parinde
mujh se kyun unche daraKHton ki zamin chhupne lagi
aasman kyun dur hota ja raha hai
raat ke is shamiyane mein koi mausam nahin hai
aaj maidanon mein
ek saya chalega dur tak
aaj dariyaon mein koi Dubta jaega
phir unche pahaDon par koi aawaz nili dhund banti jaegi
tum apne darwazon pe likh do
aaj ki shab chand ko garhan lagega
nind ko aankhen nahin mil paengi
Nazm
Dam toDti hai sham ki nili hawa
Asghar Nadeem Sayed