mera zehn banta chala ja raha hai KHayalat-e-fasid ki daldal
ki mahsus hone laga hai
meri zindagi mein rahegi hamesha hawas kar-farma
ho sarma ki garma
kabhi pyas bujhti nahin hai
piyun jitni mai
fusun-e-mulaqat hai bais-e-be-qarari
junun-e-mulaqat rahta hai tari
ki aksar mulaqat hoti hai lekin mulaqat ko ji tarasta hai paiham
kai bar is kaifiyat par hansa hun
hai ye kaisi daldal ki jis mein phansa hun
ubharta hun main is ki gahrai se bhi
magar jaise phir Dub jaane ki KHatir
ghazab hai hawas ka ye kas-bal
mera zehn banta chala ja raha hai KHayalat-e-fasid ki daldal
Nazm
Daldal
Krishna Mohan