chalte chalte dafatan paTri badalne ka chalan
tha siyasat ke qalabazon ka yak mashhur fan
faeda hota tha waqti taur par is khel mein
go saka hazraat kahte the use bazar-pan
ahl-e-sheristan ne bhi ab use apna liya
kar-amad dekh kar ye nusKHa-e-ahan-shikan
ho raha hai is qadar maqbul ye nusKHa ki ab
dil badalte rahte hain din raat arbab-e-suKHan
nit naya bahrup lazim hai pae izhaar-e-zat
jab nazar ke samne ho fan barae makr-o-fan
wo zamana jab ki bazm-e-sher thi ek razm-gah
chhoD di thi har nae shair ne raftar-e-kuhan
gholte rahte the wo hazraat jam-e-sher mein
naghma-e-bulbul ke badle shorish-e-dar-o-rasan
hoTalon mein baiTh kar hota tha zikr-e-inqalab
apne sar se bandhe phirte the taKHayyul mein kafan
in mein kuchh leader sifat the aur kuchh wolunteer
jhunD mein surKHab ke hon jis tarah zagh-o-zaghan
nara bazi mein agar hote the leader paw ser
in ke har wolunteer ka wazn hota DeDh man
rafta rafta shor-e-ghaughai suKHan ka jab thama
lag gaya jab mah-e-naKHshab mein hawadis ka gahan
aa gae kuchh aur kartab-baz bazm-e-sher mein
ek zara sa jaante the jo nazar-bandi ka fan
sungh kar mausam ki bu aur ruKH hawa ka dekh kar
kechuli badli har ek wolunteer ne dafatan
subah dam dekha to teddy suiT mein malbus hain
phenk kar chupke se apna inqilabi pairahan
sar ke baalon ki safedi ho gai gharq-e-KHizab
tah-ba-tah ghaza laga kar dur ki ruKH ki shikan
shairi ki umr thi go bis ya pachchis sal
lekin apne fan mein wo bil-qasd lae baal-pan
kar diya bahr-e-sadarat pesh apne aap ko
jab banai chand nau-mashqon ne koi anjuman
is liye ghuspaiTh karte ye sab wolunteer
ban gae ab KHam zehnon ke imam-e-fikr-o-fan
in ka maqsad hai agar kuchh to husul-e-manfat
inqilabi shairi ho ya muammati suKHan
Nazm
Dal badli
Raza Naqvi Vahi