ye adaen raqs ke hangam kitni raqs-KHez
wo jawanan-e-qabila hosh se bahar chale
kakulon ke sumbulistan aarizon par aks-rez
jaise sahil ka nazara aab-e-dariya par chale
ek tassur hai ki raqsan ho raha hai har taraf
shamen raushan hain charaghan ho raha hai har taraf
aag ke atraf raushan jaise ek fanus-e-raqs
raqs karti laDkiyan kuchh aag ke atraf yun
jaise sath-e-ab par mahtab ke haale ka aks
jis ko jhule mein jhulaen mauj-ha-e-simgun
mil ke jab jhukti hain lagti hain kali munh-band si
aur jab tanti hain kis darja bhali dil-band si
ek taraf wo surKH mishal hath mein le kar chale
kuchh hasin kuchh naznin kuchh sarw-qad kuchh sim-tan
jaise kuchh phulon ke nazuk narm-rau lashkar chale
narm-raftari mein dajla ke tamawwuj ki phaban
jaise sahraon ke aahu mahw-e-gul-gasht-e-chaman
ye hasin aahu-qadam aahu-nafas aahu-mizaj
le rahe hain nau-jawanan-e-qabila se KHiraj
jalwa-paira jalwa-saman kitne dilkash mahtab
kitne afsanon ke paikar kitne rang-o-bu ke KHwab
wo jabinon ke araq mein jaise shoalon ke sarab
jaise sandal mein shararon ke tabassum mahw-e-KHwab
shoala-afshan kakulon mein surKH phulon ke charagh
jaise tariki mein mil jaen ujale ke suragh
aarizon ki chandni phaili hui si har taraf
har taraf hai ek tarkash ek aahu har qadam
kar rahe hain raqs daf par mahwishan-e-jalwa-tab
har taraf bikhre hue hain wadi-e-dajla ke KHwab
kuchh kanwal kuchh nastaran kuchh sumbulistan kuchh gulab
Nazm
Dajla ke KHwab
Qamar Jameel