ek KHush-gawar din
jab log apne daftar aur bachche
school waqt par pahunch jate hain
dahshat-gard shaer apne KHwabon ki banduq le kar
hawai-firing shurua kar dete hain
koi halak nahin hota koi zaKHmi nahin hota
kisi ko Dar nahin lagta
kisi daraKHt se ek patta tak nahin girta
kisi khiDki ka shisha bhi nahin TuTta
shaer apna kaam jari rakhte hain magar
sham hone tak kisi diwar mein ek suraKH tak nahin kar pate
kisi darwaze par nishan bhi nahin Dal pate
log hasb-e-mamul gharon ko wapas aate hain
bachche raston mein cricket khelte hain lekin kisi ko
KHwabon ke KHali kartoos nahin milte
dahshat-gard shaer kahin nazar nahin aate
jab raat hoti hai to achanak andhere mein kabhi
raushni ki lakiren aasman ki taraf jati nazar aati hain
isi mamuli chamak mein sitare apna rasta banate hain
isi raste par
dahshat-gard shaer apni banduq liye zindagi bhar parade karte rahte hain
Nazm
Dahshat-gard shaer
Zeeshan Sahil