اردو हिंदी
Dawat-e-inqilab | Shaahi Shayari
dawat-e-inqilab

Nazm

Dawat-e-inqilab

Wahiduddin Saleem

;

kya lega KHak-e-murda-o-uftada ban ke tu
tufan ban ki hai teri fitrat mein inqalab

kyun TimTimae kirmak-e-shab-tab ki tarah
ban sakta hai tu auj-e-falak par agar shahab

wo KHak ho ki jis mein milen reza-ha-e-zar
wo sang ban ki jis se nikalte hain lal-e-nab

chiDiyon ki tarah dane pe girta hai kis liye
parwaz rakh buland ki tu ban sake uqab

wo chashma ban ki jis se hon sarsabz khetiyan
rah-rau ko tu fareb na de surat-e-sarab