kaun sa station hai?
Dasna hai sahib-ji
aap ko utarna hai?
ji nahin, nahin, lekin
Dasna to tha hi wo
mere sath 'qisar' thi
ye baDi baDi aankhen
ek talash mein khoi
raat bhar nahin soi
jab main us ko pahunchane
is ujaD basti mein
sath le ke aaya tha
main ne un se phir puchha
aap mustaqil shayad
Dasna mein rahte hain?
ji yahan pe kuchh meri
sut ki dukanen hain
kuchh taam-KHane hain
main suna kiya baiTha
bolta raha wo shaKHs
kuchh zamin-dari hai
mere bap dada ne
kuchh makan chhoDe the
un ko bech kar main ne
karobar khola hai
is haqir basti mein
kaun aa ke rahta tha
lekin ab yahi basti
bambai hai dilli hai
qimaten zaminon ki
itni baDh gain sahib
ek zamin hi kya hai
khane pine ki chizen
aam jine ki chizen
bhao das-gune hain ab
bolta raha wo shaKHs
is qadar girani hai
aag lag gai jaise
aasman had hai bas
main ne chaunk kar puchha
aasman mahl tha ek
sayyadon ki basti mein
aasman nahin sahib
ab mahl kahan hoga?
hans paDa ye kah kar wo
mere zehn mein us ki
baat pai-ba-pai gunji
ab mahl kahan hoga
is dayar mein shayad
'qaisar' ab nahin rahti
wo baDi baDi aankhen
ab na dekh paunga
mulk ka ye baTwara
le gaya kahan us ko
dewDhi ka sannaTa
aur hamari sargoshi
mujh se kitne chhoTe ho
main ne kuchh kaha tha phir
us ne kuchh kaha tha phir
hai raqam kahan wo sab
dard ki giran-jaani
meri shola-afshani
us ki jalwa-samani
hai raqam kahan wo ab
karb-e-zist sab mera
guftugu ka Dhab mera
us ka hath hathon mein
le ke jab main kahta tha
ab chuDao to jaanun
rasm-e-bewafai ko
aaj mo'tabar manun
us ko le ke bahon mein
jhuk ke us ke chehre par
bhench kar kaha tha ye
bolo kaise niklogi
meri dastaras se tum
mere is qafas se tum
bhure baadalon ka dal
dur uDta jata hai
peD par kahin baiTha
ek parind gata hai
chil-chil ek gilahri ki
kan mein khaTakti hai
rail chalne lagti hai
rah ke daraKHton ki
chhanw Dhalne lagti hai
mujh se kitne chhoTe ho
aur meri giran-goshi
dewDhi ka sannaTa
aur hamari sargoshi
hai raqam kahan wo sab?
dur us parinde ne
apna git dohraya
aaj hum ne apna dil
KHun kiya hua dekha
gum kiya hua paya
Nazm
Dasna station ka musafir
Akhtar-ul-Iman