hai duniya jis ka nanw miyan ye aur tarah ki basti hai
jo manhgon ko ye mahngi hai aur saston ko ye sasti hai
yan har-dam jhagDe uThte hain har-an adalat basti hai
gar mast kare to masti hai aur past kare to pasti hai
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
jo aur kisi ka man rakhe to us ko bhi arman mile
jo pan khila de pan mile jo roTi de to nan mile
nuqsan kare nuqsan mile ehsan kare ehsan mile
jo jaisa jis ke sath kare phir waisa us ko aan mile
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
jo aur kisi ki jaan baKHshe to us ki bhi haq jaan rakhe
jo aur kisi ki aan rakhe to us ki bhi haq aan rakhe
jo yan ka rahne wala hai ye dil mein apne jaan rakhe
ye turat-phirat ka naqsha hai is naqshe ko pahchan rakhe
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
jo par utare auron ko us ki bhi par utarni hai
jo gharq kare phir us ko bhi Dubkon Dubkon karni hai
shamshir tabar banduq sinan aur nashtar tir nahrni hai
yan jaisi jaisi karni hai phir waisi waisi bharni hai
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo is hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
jo upar uncha bol kare to us ka bol bhi baala hai
aur de paTke to us ko bhi koi aur paTakne wala hai
be-zulm-o-KHata jis zalim ne mazlum zabah kar Dala hai
us zalim ke bhi lohu ka phir bahta naddi-nala hai
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
jo misri aur ke munh mein de phir wo bhi shakkar khata hai
jo aur tain ab Takkar de phir wo bhi Takkar khata hai
jo aur ko Dale chakkar mein phir wo bhi chakkar khata hai
jo aur ko Thokar mar chale phir wo bhi Thokar khata hai
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
jo aur kisi ko nahaq mein koi jhuTi baat lagata hai
aur koi gharib aur bechaara haq na-haq mein luT jata hai
wo aap bhi luTa jata hai aur laThi-paThi khata hai
jo jaisa jaisa karta hai phir waisa waisa pata hai
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
jo aur ki pagDi le bhage us ka bhi or uchakka hai
jo aur pe chauki biThlawe us par bhi dhons-dhaDakka hai
yan pushti mein to pushti hai aur dhakke mein yan dhakka hai
kya zor maze ka jamghaT hai kya zor ye bhiD-bhaDakka hai
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
hai khaTka us ke hath laga jo aur kisi ko de khaTka
aur ghaib se jhaTka khata hai jo aur kisi ke de jhaTka
chire ke bich mein chira hai aur paTke bich jo hai paTka
kya kahiye aur 'nazir' aage hai zor tamasha jhaT-paTka
kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai
is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai
Nazm
Dar-ul-makafat
Nazeer Akbarabadi