mujhe zalzala-zada ilaqe se uThaya gaya tha
ya shayad
sailab-zada ilaqe se
magar mera koi waris ab is duniya mein baqi nahin hai
meri kam-umri
meri wahid kafil hai
aur
achchhi shakl hi ab meri zindagi ki zamin hai
meri be-libasi
libas se ziyaada qimti aur ba-mani hai
main ne kai bar
adalaton mein peshi ke dauran apne be-asra hone ki
duhai di
magar har bar
mere anguThe par KHamushi ki siyahi laga di gai
mujhe un mardon ke nam yaad nahin
jo
mujhe shahr shahr aur ganw ganw liye phire
magar mujhe
us aurat ki aankhen yaad hain
jis ne mujhe dekh kar aansu bahae the
aur
phir yahan chhoD kar chup-chap chali gai thi!
Nazm
Dar-ul-aman ke darwaze par
Zahid Masood