har ek gam par
ek maddham si aawaz kahti hai
ye rasta
jaana pahchana purkhon ka chhana hua rasta
jaane-pahchane raste ki aasaniyan
un mein beja tahaffuz hazar ki tamanna hai
taqlid ka dam-e-zanjir hai
apne purkhon ke chhane hue raste
jin pe aaba-o-ajdad chalte hue
ek manzil pe qarnon se qaem rahe
in se bach kar guzar
Nazm
Daman-kashan
Abrarul Hasan