kal raat mera beTa mere ghar
chehre pe munDhe KHaki kapDa
banduq uThae aa pahuncha
nau-umri ki surKHi se rachi us ki aankhen
main jaan gai
aur bachpan ke sandal se manDha us ka chehra
pahchan gai
wo aaya tha KHud apne ghar
ghar ki chizen le jaane ko
an-kahi kahi manwane ko
baaton mein dudh ki KHushbu thi
jo kuchh bhi saint ke rakkha tha
main sari chizen le aai
ek lal-e-badaKHshan ki chiDiya
sone ka hath chhoTa sa
chandi ki ek nannhi taKHti
resham ki phul bhari Topi
atlas ka nam likha juzdan
juzdan mein lipTa ek quran
par wo kaisa diwana tha
kuchh chhoD gaya kuchh toD gaya
aur le bhi gaya hai wo to kya
lohe ki bad-surat gaDi
petrol ki bu bhi aaegi
jis ke pahiye bhi rabar ke hain
jo baat nahin kar paegi
bachcha phir aaKHir bachcha hai
Nazm
Daku
Zehra Nigaah