mohabbat daimi sukh hai
ki jis ko maut ki ghaDiyan
kabhi kam kar nahin saktin
ye mausam ek dafa aae
to phir aa kar Thahar jae
hasin shadab si kaliyan
nigahon mein sama jaen
to phir ye mar nahin saktin
KHayalon ki rawani mein
ki jaise bahte pani mein
kanwal khil jaen KHwabon ke
to qudarat muskuraati hai
ishaara kar ke taron se
chhalakte aabshaaron se
madhur sargoshiyan kar ke
hamein rasta dikhati hai
ye rasta kis qadar hairan-kun manzil dikhata hai
isi raste pe insan KHud ko pahli bar pata hai
mohabbat ko saza kahne se pahle soch kar rakhna
ki jo is se bichhaD jae use manzil nahin milti
bikhar jaen jo ban kar KHak phir mahfil nahin milti
mohabbat daimi sukh hai
ye sukh main chahti hun teri aankhon mein nazar aae
ki tu is kaenat-e-KHwab ka hamraaz ban jae
mohabbat daimi sukh hai
Nazm
Daimi sukh
Shaista Mufti