unche makanon ki diwaron par hari bhari phulon ki bel
surmai baadalon ke ghunghaT se meri chhoTi khiDki ki taraf
dekhti hai
persuaders Tw par film chal rahi hai
main kis ke taaqub mein apni taraf bhag rahi hun
main kolhu ka bail hun
roz ek daera apne ird-gird khinchti hun aur is daere
ke aage ek aur daera phir ek aur
yun aage hi aage daere hi daere
zindagi ka safar daeron se likha gaya
subah dopahar sham aansu ki roTi dukh ka salan aur
sard aahon ka pani
barsaton ki shamen nirmal komal dil ko yun dahlati hain
jaise aatish-dan ki qarib soi billi an-jaane qadmon se chaunk jae
ye bhi ek daera hai
is daere ke andar hamare hathiyar zamin par paDte hain
aur hum hath uThae aasmani aawaz par
aage hi aage be-samt chalte ja rahe hain
daere bante ja rahe hain
Nazm
Daere
Shaista Habeeb