hamari sab lakiren
daeron mein ghumti hain
hamare sare raste
ek hi mehwar ki jaanib
lauT aate hain
subh-dam asp-e-taza ki tarah
ghar se nikal kar
daeron mein dauDna
aur din Dhale
aaKHir usi markaz pe
wapas lauT aana hi
hamari zindagi hai
hamein bas ek jaanib
dekhne ka hukm sadir hai
hamari soch binai muqaddar
sab inhi raston ke qaidi hain
hamein malum hai
in daeron ki par bhi
Nazm
Daere aur aasman
Qaisar Abbas