ye sach hai ki main is tamashe mein shamil nahin
phir ye kaisi saza mil rahi hai mujhe
ye main kis daere mein khaDa hun jahan
aaj koi nahin
ek mere siwa
wo hawa jo kabhi mujh se wabasta thi
aaj mujh se juda ho gai
meri aawaz ke sath jaane kahan kho gai
ye main kis daere mein khaDa hun jahan
ek siyahi hai gahri ghani har taraf
KHamushi qabr ki KHamushi har taraf
mere mazi ka suraj siyah-paniyon mein gira bujh gaya
mere sare ujale andhere hue
aaj tanha hun main
haal ke is siyah daere mein khaDa
ek tamasha hun main
Nazm
Daera
Kumar Pashi