dadi-amman kahti hain
sari duniya gae ke sing par Tiki hai
jab ye gae duniya ko
ek sing par uThae uThae
thak jati hai
to use dusre sing par rakh leti hai
idhar se udhar hone par
gae ke ek sing se dusre sing tak aate aate
zara upar ko duniya
hil kar rah jati hai
dadi-amman ki theory ke mutabiq
karachi bhi isi duniya mein
singon par kahin waqe hai
pichhle kuchh dinon se
ye gae kuchh thaki thaki rahne lagi hai
aur duniya ko jaldi jaldi
singon par idhar udhar karti rahti hai
lekin ye baat samajh mein nahin aati
aur dadi-amman ki tarah
hamein bhi pareshan karti hai
ki ab
jab gae duniya ko ek sing se badal kar
dusre sing par leti hai
to hamara karachi hi
sab se ziyaada kyun hilta hai
Nazm
Dadi-amman ki theory
Zeeshan Sahil