kya rumani lamha tha 
shoara par ye shart lagi thi 
chhat par pura chand dekh kar 
sab ko nazm sunani hogi 
pure chand ko takte takte 
main ne bhi ek nazm sunai 
mere liye wo nazm nahin thi 
bel koi angur ki thi 
jis ne mera KHun piya tha 
chand ne lekin sher sune to 
wo behad mashur hua tha 
aisa laga ki us ke tan se 
chhalbal uDti 
dhul sunahri 
sunne walon ki palkon par aa baiThi ho 
logon ne yun dad mujhe di 
goya chand ke copyright mere hun 
main ne apni nazm sunai urdu mein 
kya rumani lamha tha
        Nazm
Copyright
Fay Seen Ejaz

