اردو हिंदी
Cleopatra | Shaahi Shayari
Cleopatra

Nazm

Cleopatra

Akhtar-ul-Iman

;

sham ke daman mein pechan nim-afrangi hasin
nuqrai paron mein ek sone ki lag

rah guzar mein ya KHiraman sard aag
ya kisi mutrib ki le ek tishna takmil rag

ek bahr-e-be-karan ki jhilmilati sath par
zau-fagan afsana-ha-e-rang-o-nur

nile nile do kanwal maujon se chur
bahte bahte jo nikal jaen kahin sahil se dur

chand si peshaniyon par zarfishan lahron ka jal
ahmarin uDta hua rang-e-sharab

jam gai hain asha-e-sad-aftab
gardanon ke pech-o-KHam mein ghul gaya hai mahtab

ishrat-e-parwez mein kya nala-e-ha-e-tez-tez
uD gaya din ki jawani ka KHumar

sham ke chehre pe lauT aaya nikhaar
ho chuke hain ho rahe hain aur daman dagh-dar

us ka zarrin taKHt simin jism hai aankhon se dur
jam-e-zahr-alud se uThte hain jhag

chaunk kar angDaiyan lete hain nag
jag 'antoni' mohabbat so rahi hai jag jag