kartab ka bas shauq hua tha
mere bas ka kaam nahin hai kab socha tha
bin soche samjhe main yunhi chal nikla tha
chalte chalte mujh ko ye ehsas nahin tha
chalna yun dushwar bhi ho sakta hai ek din
KHauf koi talwar bhi ho sakta hai ek din
mere panw kisi lamhe shal ho sakte hain
aaj nahin honge shayad
kal ho sakte hain
kab tak apni sans ki tarah main laTkunga
apne andar ki tariki mein bhaTkunga
dil hai ek sire par
jaan hai ek sire par
na hai ek kinare han hai ek sire par
kab tak kartab aur chalega kab main niche aaunga
ya main yunhi laTke laTke
sans ko roke mar jaunga
mera malik loud-speaker munh mein liye chillata hai
girna nahin hai girna nahin hai
mujh ko yaad dilata hai
mere pair jo pahle shal the
KHauf ne patthar kar Dale hain
meri aankh se KHun rista hai
aur sanson mein chhaale hain
niche siTi marte logon se tali bajwani hai
aankhen bhi band rakhni hain gir apni jaan bachani hai
ek sire par main hun duja dur dikhai deta hai
mere panw tale shoalon ka
shor sunai deta hai
niche gira to ain yaqin hai
dahki aag mein jalna hoga
KHauf mein gum hun jaane kab se soch raha hun
machhli ki us Dor pe aaKHir
kab tak mujh ko chalna hoga
Nazm
Circus
Ali Imran