jis tarah hasraton ke marghaT mein
dhire dhire sulag raha ho dhuan
jis tarah ho kisi sitare par
ek bujhte hue diye ka guman
jis tarah miT rahi ho ban ban kar
yas-angez waqt ki tahrir
is tarah tere surKH honTon par
kanpti hai ghane dhuen ki lakir
khelte hain faza ki sanson se
nanhe nanhe tilismi mar gole
halke nile dhuen ki lahron se
Dhulne lagti hai gard ranj-o-mehan
tere har ek kash ki talKHi mein
Dub jati hai zindagi ki thakan
hashr-samaniyan tafakkur ki
jab bhi leti hain dil mein angDai
tujh ko rah rah ke yaad karti hai
sham-e-gham ki udas tanhai
ye to sab kuchh durust hai lekin
aaj ki raat main akela hun
band kamra hai aur KHamoshi
hadse kar rahe hain meri talash
zehan ko Das rahi hai fikr-e-maash
kya karun kya karun kidhar jaun
tujh se kis tarah dil ko bahlaun
sochta hun ki gharq ho jaun
tere kaDwe dhuen ki KHushbu mein
lekin aisa bhi ho nahin sakta
tere kaDwe dhuen ki KHushbu mein
gham ka ehsas kho nahin sakta
tu mere gham ko kya miTaega
tu bhi meri tarah hai shoala-fishan
mere sine mein jal rahi hai aag
tere sine se uTh raha hai dhuan
mere dil mein bhi soz palta hai
main bhi jalta hun tu bhi jalta hai
Nazm
Cigarette
Prem Warbartani