hum kis dukh se apne makan faroKHt karte hain
aur bhuk ke liye chyunTi-bhar aaTa KHaridte hain
hamein band kamron mein kyun piro diya gaya hai
ek din ki umr wale to abhi darwaza tak rahe hain
chaal lahu ki bund bund mang rahi hai
kisi ko churana ho to sab se pahle us ke qadam churao
tum chithDe par baiThe zaban pe phul ho
aur aawaz kor si kor
insan ka piyala samundar ke pyale se miTTi nikalta hai
miTTi ke sanp banata hai aur bhuk palta hai
tinke jab shuaon ki pyas na bujha sake to aag lagi
main ne aag ko dhoya aur dhup ko sukhaya
suraj jo din ka sina jala raha tha
aasmani rang se bhar diya
ab aasman ki jagah kora kaghaz bichha diya gaya
log mausam se dhoka khane lage
phir ek aadmi ko toD kar main ne suraj banaya
logon ki poren kuen mein bhar din
aur aasman ko dhaga kiya
kaenat ko nai karwaT nasib hui
logon ne inTon ke makan banana chhoD diye
aankhon ki zaban-daraazi rang lai
ab ek qadam pe din aur ek qadam pe raat hoti
haal jurat-e-guzishta hai
aa tere baalon se shuaon ke ilzam uTha lun
tum apni surat pahaD ki khoh mein ishaara kar aae
kund hawaon ka e'tiraf hai
safar eDi pe khaDa hua
samundar aur miTTi ne rona shurua kar diya hai
belche aur bazu ko do bazu tasawwur karna
suraj aasman ke kone ke sath laTka hua tha
aur apni shuaen apne jism ke gird lapeT rakhi thin
main ne KHali kamre mein muafi rakhi
aur mera sina dusron ke darwaze par dhaDakta raha
Nazm
ChyunTi-bhar aaTa
Sara Shagufta