ye hona tha ye hona tha
ki main ne ek ajab
asrar ke andar
chale jaane ki KHwahish ki
jahan KHasta chaTanen ja-ba-ja bikhri paDi thin
shajar pathra gae the
kalas minar gumbad bhar chuke the
jahan ek dhund ka be-ant
lamba ghaar tha
jis mein nahin ki baadshahat thi
main khinchta ja raha tha ghaar ki jaanib
utarta ja raha tha ek ajab asrar ke andar
jahan ek par tha ThanDi raushni ka
jo hone ki anokhi dastan
andhe KHala ki lauh par tahrir karta ja raha tha
mujhe asrar ke haale ke andar
yun chale jaane ki jurat kyun hui
main kis liye Thahra raha
hairan shashdar be-dhaDak
wapas chale jaane ka
main ne kyun na socha us ghaDi
aur ab ye haal hai mera
ki main ek par kaTe tair ki surat
shifa-KHane ki mamta se bhari jholi ke andar
sar-nigun hun
magar main ek chuTki raushni to le hi aaya hun
Nazm
ChuTki bhar raushni
Wazir Agha