tu ne sard hawaon ki zaban sikhi hai
tere ThanDe lams se dhaDkanen yaKH-basta huin aur main chup hun
main ne waqt-e-subh chiDiyon ki surili chahchahahaT ko suna hai
aur mere zehn ke sagar mein naghme bulbule ban kar uThe hain
tere kaDwe bol se har-su hain aawazon ke lashe
aur main chup hun
main ne wo masum pyare gul-badan dekhe hain
jin ke marmarin jismon mein pakiza mohabbat ke nasheman hain
tere in khurdure hathon ne ye sare nasheman noch Dale
aur main chup hun
main ne dekhe hain wo chehre chand jaise ghuncha-surat
jin ki aankhen aaina hain aane wale mausamon ka
tu ne un aankhon mein bhi kanTe chubhoe
aur main chup hun
ba-kamal o ba-safa wo log bhi dekhe hain main ne
jin ke honTon se khile hain sidq o danai ke phul
tu ne un honTon ko ghola zahr mein
aur main chup hun
Nazm
Chup
Ejaz Farooqi