chaar baras ke
maile kuchle
duble-patle laDke mein thi
ghazab ki phurti
chaurahe par ek taraf ki hari light se
dusri samt ki lal light tak
bijli ki tezi se wo aata jata tha
jo mil jae us ke aage
phailata tha apni hatheli
jis mein
KHush-haali aur lambe jiwan ki
rekhaen thin
chaurahe tak hi mahdud thi us ki duniya
jis ko us ne nahin chuna tha
traffic light ke ird-gard tha us ka jiwan
wo bhi us ne nahin chuna tha
TuTe pul ke niche us ka janam hua tha
wo bhi us ne nahin chuna tha
kal shab
traffic light ko toDne wale Truck se dab kar
maut ho gai us ki
wo bhi us ne nahin chuni thi
Nazm
Chunaw
Subodh Lal Saqi