اردو हिंदी
Chuha | Shaahi Shayari
chuha

Nazm

Chuha

Ahmad Azad

;

ek bose ne
tumhein aurat bana diya

aur use tabdil kar diya
ek chuhe mein

ye chuha
balliyon ko dekh kar

Dara sahma
shahr ki galiyon mein

ghus jata hai
DhunDta rahta hai din bhar

apni wahshat ka sira
mubasharat ki jagah

aawaragardi karta hai
un se kah do

apne jism ko dikhane ka
swang na rachaen

chuha sochta hai
pagal aankhen

un ke badan ke kisi bhi hisse mein
daKHil ho sakti hain