so gai raat bahut der hui
thak ke leTi thi kisi rahguzar par
kisi kamre kisi virane mein
kisi masjid kisi mai-KHane mein
kisi patthar ke sutun se Tik kar
kisi diwar ke sine se lagae hue sar
so gai raat bahut der hui
chand bhi Dub gaya
tare bad-KHwah paDosi ki tarah ghaur se dekh rahe hain
ki kisi aur paDosi ke yahan
raushni kaisi hai kya hota hai
aao
aaise main ne dekhe dekhega koi
aao aur mujh ko chura le jao
Nazm
Chor
Rahi Masoom Raza