mere tan par bhuk ugi thi
meri aankhen nangi thi
aur mere aangan mein har-ja
ghurbat bhuk aur mahrumi ke
phul uge the
mere kanTe hathon ne
un phulon ko toDna chaha
aur ham-sae ke ghar se
jis ke ghar mein
sone chandi aur paison ki
diwaren thin
apne ne kuchh KHushiyan chun lin
chor chor chor chor
kuchh aawazen
phir zanjiren
phir mere hi ghar ki manind
badbu-dar andhera kamra
jis ke bahar
mujh jaise be-chehra log
mere liye pahre pe khaDe the
Nazm
Chor
Neelma Sarwar