us lafz ka
kya matlab hai jo
tum mohabbat mein shukr-gizari ke liye
ek KHase mauqe par
istimal karti ho
kisi aur jagah
kisi aur shaKHs ke samne
jazbaat ke shiddat se izhaar ke liye
kya isi tarah is lafz ko
dohraya ja sakta hai?
kya ise kahte hue
lafzon ki saKHt
aur durust adaegi ka
hamesha KHayal rakhna hoga?
kya meri thoDi si
be-ehtiyati us ka mafhum
bahut ziyaada tabdil to nahin kar degi
kya is lafz ke liye
kisi dusri zaban mein
koi mutabaadil lafz
ziyaada madad-gar sabit nahin hoga?
aur sab baaton ke bawajud
main jo kuchh chahta hun
shayad wazeh na ho sake
is lafz ke liye
jo tum kahti ho ek KHas mauqe par
mohabbat mein shukr-guzari ke taur par
jab hamesha ki tarah
chizen apni jagah tabdil karna chahti hain
Nazm
Chizen apni jagah tabdil karna chahti hain
Zeeshan Sahil